Dil Jis Se Zinda Hai Lyrics – Nusrat Fateh Ali Khan

Dil Jis Se Zinda Hai Lyrics by Nusrat Fateh Ali Khan is Ghazhal And Qawwali Song sung by Nusrat Fateh Ali Khan.

Dil Jis Se Zinda Hai Lyrics

Marhaba! Salle-ala Hastam Sanakhwaan-e Rasool
Sad Salaam E Man Ba Jism E Paak Par Jaan-e Rasool

Ai Saba Wai Paike Mushtaqañ Ba Dargaah E Nabi
Go Salamam Dast-basta Pesh-e Aiwan-e Rasool

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tamanna Tumhi To Ho
Hum Jis Meiñ Bas Rahe Haiñ Wo Dunya Tumhi To Ho
Dil Jis Se Zinda Hai
Dil Jis Se Zinda Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Teri Zulf Gar Shab-e Qadr Hai
Tera Chehra Badr-e Muneer Hai

Tere Sadqe Jaaooñ Maiñ Ya Nabi
Tu Habib-e Rabb-e Qadeer Hai

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Tera Husn Jalwa E Toor Hai
Teri Shakal Surah E Noor Hai
Ke Jahaan Meiñ Koi Aaj Tak
Teri Misl Hai Na Nazeer Hai

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Teri Deed Jisko Naseeb Hai
Wo Naseeb Qabil-e Deed Hai
Tera Dekhna Meri Eid Hai

Tera Rukh Kalam-e Majeed Hai
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Teri Deed Karne Ko Khud Khuda
Tujhe Paas Apne Bula Liya
To Bitha Ke Saamne Ye Kaha
Meri Aaj Arsh Pe Eid Hai

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Tera Noor Noor-e Qadeem Hai
Tera Husn Husn-e Kamaal Hai
Nahi Jiski Koi Misaal Hai
Tu Hi Aamina Ka Wo Laal Hai

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Shahsawaara Raazdaraa, Hoo..
Shahsawaara Raazdaraa, Aaa..
Shahsawara Raazdaraa Rab Diyaañ
Taajdaara Dardmanda Sub Diyaañ

Ai Alam-nashra De Seene Waleya
Ai Shahenshah Madina Waleya
Aa Vi Ja Wal-fajr Chehre Waleya
Aa Vi Ja Yasin Sehre Waleya
Yaad Teri Da Maiñ Deeva Waleya
Aa Vi Ja Hun Kaali Kamli Waleya

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Ya Habibi Marhaba, Marhaba
Ya Habibi Marhaba, Marhaba
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba…

Roya Shab E Hijraañ Maiñ Bahut Ashq Bahaya
Itne Meiñ Musawwir Ko Zara Rahm Jo Aaya
Naqshe Kayi Tasveeroñ Ke Wo Saamne Laaya
Bola Ke Ye Yusuf Hai, Ye Eesa Hai, Ye Musa
Maiñ Ne Kaha, In Meiñ Se Kisi Per Nahi Shaida
Jab Saamne Laya Wo Shabeeh-e Shah-e Wala
Be-saakhta Us Waqt Zubaañ Se Meri Nikla…

Mukh Chandr Badar Shasaani Ei
Matthe Chamke Laath Noorani Ei
Kali Zulf Te Akh Mastani Ei

Makhmor Akhi Hin Mad Bharya
Teri Surat Nu Maiñ Jaan Akha
Jaana Ke Jaane Jahan Akha
Sach Aakha Te Rab Di Shaan Akha
Jis Shaan To Shana Sub Wadeya

Subhan Allah, Ma Ajmalaka,
Ma Ahsanaka, Ma Akmalaka
Kitthe Mehr Ali Kitthe Teri Sana
Gustaakh Akhi Kitthe Ja Lariya

Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba

Subhan Allah, Ma Ajmalaka,
Ma Ahsanaka, Ma Akmalaka
Subhan Allah! Allah Allah !
Subhan A! Allah Allah

Jeene Dekhiya Kamli Wale Nu
Muhu Nikliya Wah Subhanallah
Noori Mukhre Te Payi Chamk Di Ei
Kaisi Zulf E Siyaah Subhanallah

Lab Laal-e Yaman Qad Sarv-e Chaman
Ai Naafa Kutan At’her Hai Badan
Tere Husn Di Ki Tareef Karaañ
Kah Uthiya Khuda Subhanallah

Bus Allah Allah! Sub’han Allah!
Allah Allah! Sub’han Allah!

Farishta Dar Pe Basad Ehteraam Aata Hai
Khuda Ke Baad Tumhara Hi Naam Aata Hai
Kaleem Hooñge Tumheñ Kya Kaleem Se Nisbat
Tumhare Ghar Meiñ Khuda Ka Kalaam Aata Hai

Bus, Allah Allah! Sub’han Allah!
Allah Allah! Sub’han Allah!

Tu Ne Qabl Az Do Jahaañ Shan E Tajalla Dekhi
Arsh Banta Huaa Sajti Huyi Duniya Dekhi

Tere Qadmoñ Meiñ Jhukeeñ Sare Rasooloñ Ki Jabeeñ
Sub Ne Allah Ko Mana Teri Dekha Dekhi
Allah Allah! Sub’han Allah!
Allah Allah! Sub’han Allah!

Her Ik Kundal Kundal Utthe Aashiq Ta Dil Dole

Husn Tere Di Sift Ki Aakhañ Kaafir Kalma Bole
Aañkheiñ, Allah Allah! Subhan Allah!
Allah Allah! Subhan Allah!

Subhanallah, Ma Ajamalaka
Ma Ahsanaka, Ma Akamalaka
Kitthe Mehr Ali Kitthe Teri Sana
Gustaakh Akhi Kitthe Ja Lariyañ
Marhaba Marhaba, Marhaba Marhaba

Ya Noor Ul Ainee Marhaba
Jaddil Hussaini Marhaba
Ya Imam Ul Qiblatain
Ya Nabi Ul Haramain
Aap Haiñ Aañkhoñ Ki Thandak

Aap Haiñ Har Dil Ka Chain
Innaka Shams Ud Duha
Innaka Badr Ud Duja
Innaka Noor Ul Huda
Innaka Sadr Ul Ula

Az Ibtida Ta Intaha
Tu Ya Muhammad Mustafa

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho
Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tum Ho

Mujh Purkhata Ki Laaj Tumhare Hi Haath Hai
Mujh Nañge Do Jaha Ka Wasila Tumhe To Ho
Jo Dastageer Hai Wo Tumhara Hi Haath Hai

(Sargam)

Jo Dastageer Hai Wo Tumhara Hi Haath Hai
Jo Doobne Na De Wo Sahara Tumhi To Ho

Dunya Meiñ Rahmat-e Dojahañ Aur Kaun Hai

Jiski Nahi Nazeer Wo Tanha Tumhi To Ho
Phoota Jo Seena-e Shab-e Taare Alast Se

(Sargam)

Phoota Jo Seena-e Shab-e Taare Alast Se

Us Noor-e Awwaleeñ Ka Ujala Tumhi To Ho
Jalte Haiñ Jibraeel Ke Par Jis Maqaam Par

Uski Haqeeqatoñ Se Shanasañ Tumhi To Ho
Sub Kuch Tumhare Waaste Paida Kiya Gaya

(Sargam)

Sub Kuch Tumhare Waaste Paida Kiya Gaya
Ai Taajdar-e Yasrab O Bat’ha Tumhi To Ho

Dil Jis Se Zinda Hai Wo Tumhi To Ho
Dil Jis Se Zinda Hai

ये भी पढ़ें

close