BEKHAYALI LYRICS – KABIR SINGH | Sachet Tandon

Bekhayali Lyrics (Bekhayali Lyrics in Hindi) from the film Kabir Singh: The song is sung by Sachet Tandon and has music composed by Parampara Thakur, Sachet Tandon while Sachet-Parampara has written the Bekhayali lyrics. The song is from Sandeep Reddy Vanga directed Hindi feature film Kabir Singh” starring Shahid Kapoor, Kiara Advani, Arjan Bajwa

Song: Bekhayali
Movie: Kabir Singh (2019)
Singers:Sachet Tandon
Music Director: Parampara Thakur, Sachet Tandon
Director: Sandeep Reddy Vanga
Music Label: T-series
Starring: Shahid Kapoor, Kiara Advani, Arjan Bajwa

Bekhayali Lyrics

Hmm…

Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayaal Aaye
Kyun Bichhadna Hai Zaroori Ye Sawaal Aaye
Teri Nazdeekiyon Ki Khushi Behisaab Thi
Hisse Mein Faasle Bhi Tere Bemisaal Aaye

Main Jo Tumse Door Hoon
Kyun Door Main Rahoon
Tera Guroor Hoon
Aa Tu Faasla Mita
Tu Khwaab Sa Mila
Kyun Khwaab Tod Doon Oo..

Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayaal Aaye
Kyun Judaai De Gaya Tu, Ye Sawaal Aaye
Thoda Sa Main Khafa Ho Gaya Apne Aap Se
Thoda Sa Tujhpe Bhi Bewajah Hi Malaal Aaye

Hai Ye Tadpan, Hai Ye Uljhan
Kaise Jee Loon Bina Tere
Meri Ab Sab Se Hai Annban
Bante Kyun Ye Khuda Mere Hmm…

Ye Jo Log-baag Hain
Jungle Ki Aag Hain
Kyun Aag Mein Jalun…
Ye Nakaam Pyaar Mein
Khush Hain Haar Mein
Inn Jaisa Kyun Banun Oo…

Raatein Dengi Bata
Neendon Mein Teri Hi Baat Hai
Bhoolun Kaise Tujhe
Tu Toh Khayalon Mein Saath Hai

Bekhayali Mein Bhi Tera Hi Khayaal Aaye
Kyun Bichhadna Hai Zaroori Ye Sawaal Aaye

Nazar Gira De Har Ik Manzar
Ret Ki Tarah Bikhar Raha Hai
Dard Tumhaara Badan Mein Mere
Zeher Ki Tarah Utar Raha Hai

Nazar Gira De Har Ik Manzar
Ret Ki Tarah Bikhar Raha Hai
Dard Tumhaara Badan Mein Mere
Zeher Ki Tarah Utar Raha Hai

Aa Zamaane Aazma Le Roothta Nahin
Faaslon Se Hausla Ye Toot’ta Nahin
Naa Hai Woh Bewafa Aur Na Main Hoon Bewafa
Woh Meri Aadaton Ki Tarah Chhoot’ta Nahin.

Also Read: Continue reading at Bewafai – Sachet Tondon Lyrics of all latest Hindi Songs

ये भी पढ़ें

close